Jinsi Maloomat

5 (1)

Образование | 16.3MB

Описание

جنسی تعلیم کی اہمیت
Mardon ko, aurton ko, bachiyon ko, jawano'n ko, hutta kay boorhon ko bhi aam taaleem ki tarah jinsi taaleem (sex education) ki zaroorat hai, khusoosan naey shadi shuda couples ko khushgawar azdwajii zindagi kay liye jinsi taaleem ki sakht zaroorat hai. Magar yeh taaleem inn ko Quran aur jaded tehqeeq ki roshni mein sha'estigi kay sath milni chahiyie. Chu'n kay humarey haan iss tarah ka koi intezam nahin jis ka nateeja yeh hai kay naujawan nasal neem hakeemon, ataiyo'n, dewaro'n per ishtehaaraat aur ghaer meyari kutub sey jinsi ma'aloomat hasil karti hai jo kay aksar ghalat, gumraah kun aur tabah kun hoti hain. Inn ghalat ma'aloomaat ki wajah sey humarey mu'aashrey mein bohut sey jinsi masail paeda ho chukey hain jo kay normal azdawaji zindagi mein bohut bari rukawat sabit ho rahey hain, jis ki wajah sey bohut si shadiya'n naakaam ho jati hain, shohar pagal ho jatey hain aur kuch bey charey khudkushi kar letey hain.
Jinsi taaleem (sex education) na sirf azdawaji zindagi ko khushgawar banati hai bul kay iss ki madad sey jinsi jara'em maslan incest, zina biljabr aur doosrey jinsi gunaah masaln hum jinsiyat waghaera ko kam kiya ja sakta hai. Jinsi khwahish (libido) bohut taez aur mu'nh zor hoti hai jo fard ko jinsi gunah aur jara'em per majboor kar deti hai, iss kay elawa sex education ki madad sey ahem jinsi masail maslan surat e inzal aur mardana jinsi kamzori waghaera ka tadaruk bhi kya ja sakta hai.
Maghrib mein jinsi taaleem, ta'aleemi idaro'n mein dii jati hai magar wahan ta'aleem amooman bacho'n ko zina per aamaada karti hai. Waisey mahireen ka khayal hai kay bacho'n ko jinsi taaleem deney kay liye walaedaen sab sey zyada mozoon hain na kay ta'aleemi idaarey. Baap betey ko aur maan beti ko yeh taaleem dey. Lehaza walaedaen ko iss hawaley sey zyada sey zyada ma'aloomaat hasil karni chahiyien ta'kay woh aaney wali nasal ko yeh ilm muntaqil kar sakein.

Show More Less

Информация

Обновлено:

Версия: 1.0

Требования: Android 2.3 или более поздняя

Оценка

ПОДЕЛИТЬСЯ

Похожие