Suhagraat Ke Baad Nahana Lazmi
Media & Video | 2.2MB
Shadi Ki Pehli Raat Ke Baad Nahana Kyun Zaroori Hai???
✓ Hadees dekhiye, Hazrat Muhammad (sallallaho alayhi wasallam) ne irshad farmaya : jab koi shaks nikah kare aur pehli raat (suhag raat) ko apni dulhan ke paas jaye to narmi kesath uski peshani ke thode se baal apne sidhe hath me le kar yah duwa padhe :'Allahumma in'ni as'a'luka min khai'riha wakhai'ri ma fiha wakhairi ma jabalta'ha alai wa a'udhu bika min shar'riha washar'ri ma fiha wa sharri ma jabalta'ha alai'
(tarjuma : ae Allah me tujse iski (apni biwi ki) bhalai aur khairo barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai aur teri panah chahta hu iski burai aur fitari aadato ki burai se.
(Abu Dawood : jild-2,page-150, Hasne Hasin : page-164)
(Bukhari shareef, Jild 3, Safa 473)
✓ Peshani ke baal pakad kar dua karnese pahle apni biwi ko ye bata sakte hain ki ye hamare aaqa Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwsallam) ka hukm hai, warna jis ladki ko nahi maalum ho wo kuch galat na sochne lage.
✓ Iske baad agar wuzu na ho to wuzu kar lijiye aur 2 rakat namaz nafal, Allah ka shukr ada karne aur usse dua karne ke liye padhiye, Namaz is tarah padhiye (jamat bana kar) ki ladka aage imam ban kar khada ho aur ladki uske piche khade ho jaaye. Dono saath namaz padhe. namaz ki niyat : niyat ki maine 2 rakat namaz nafil shukrane ki waste Allah ta'ala ke rukh mera kaaba sharif ke taraf Allaho Akbar. fir humesha jaise namaz padhte ho waise hi namaz padhe Aur namaz ke baad Shaadi saath kheriyat se hone ke liye Allah ka shukr ada kijiye aur ye dua kariye ki Allah is shaadi ko kaamyab banaye, aage bhi hansi-khushi rakhe, bacche nek de, aur is tarah bhiduwa kar sakte hain "ae ALLAH tera shukra aur ehsan hai ki tune hume ye din dikhaya aur hume is khushi wa ne'amat se nawaza aur hume apne Habib sallallaho alayhi wasallam ki sunnat par amal karne ki taufiq ata farmayi. aye Allah humari is khushi ko humesha isi tarah kayam rakh. hume mel-milap pyar muhabbat ke sath zindagi gujarne ki taufiq ata farma. ae Rabbe Qadir hume nek farmabardar aulad ata farma. AAMIN, aur iske alawa jo bhi aap shaadi ki kaamyabi ke liye dua karna chahe kar sakte hain. Dua ke pahle aur aakhir mein darud sharif padh lijiye.
✓ Namaz ke baad kisi bhi kaam mein jald-baazi na karen, balki ladki se is tarah baat kariye ki uski thodi jhijhak door ho jaaye. Thoda apne baare mein baat kariye thoda uski suniye. Jab ladki ki thodi jhijhak doorho jaaye to aur aap saath mein sone ka irada karen to usse pahle ye dua padh lijiye.
"Bismillah, Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq tana (Tarjuma: "ALLAH ke naam se. Ae ALLAH door kar hamse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hame ata karega")
✓ "Jo shaks is dua ko Sohbat ke waqt padhega (Dua wahi jo upar likhi hai) to ALLAH us padhne wale ko agar Aulad ata farmaye to us Aulad ko Shaitan kabhi bhi nuksan na pahuncha sakega"
(Bukhari shareef Jild 3,Safa 85, Tirmizi shareef,Jild 1,Safa 557)
Note : Ye yaad rakhiye ki jo peshani ke baal pakad kar dua karna hai wo sirf pehli raat mein hi padhna hai aurek hi baar padhna hai, lekin ye waalidua ("Bismillah, Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq tana) aapko hamesha padhna, jab bhi biwi ke saath sone ka irada ho usse pahle is dua ko padhna zaruri hai, chhoti si dua hai, 4-5 baar padhne se yaad ho jaayegi, agar is dua ko padhe bagheraap biwi ke saath sote hain to ho sakta hai ki shaitan/jinn bhi aapke saath-saath aapki biwi se sohbat karle. Is dua ko padhne se Allah hifazat farmata hai.
✓ Miya biwi ka saath mein sone ka sahitarika ye hai ki dono ek dusre ke badan ko bila zarurat na dekhe, Hazrate Ayesha siddiqa farmati hai jiska mafhum hai ki "Hazrat Muhammad (sallallhau alyhiwasallam) ne na kabhi unke badan ko dekha na unhone".
.
♦ Any Queries, Suggestion and Comments so contact us through
adeel33g@gmail.com
♦♦♦♦ Thanks.♦♦♦♦